Q hamain is dunya pay apnay khuda say zyada bharosa hogya hai?? Jab k ye dunya hamain siwaey dukh parishani or musibaton k kuch nahi day sakti. Ek shaqs Rasool Allah SAW k pas aaya or pucha (mafhoom)"Ya Rasool Allah! Mjhe kaisay pta chalay ga k mai ab usi rastay pay chal raha hn jo meray deen ka btaya hua hai jis say mai apnay khuda say waqiyatan qareeb ho raha hon??" Rasool Allah SAWW nay farmaya "Jan lo k Jab ye dunya tmhe thukra day or yahan k loog tum say bayzaar hon jaen tou samajh jana tum apnay khuda say qareeb hotay ja rahay ho. Bayshak ye wai moqa hoga jab tum seedhi rah par ho gay...."
Ye hamari hamaray mazhab say ghaflat ka natija hi hai k hum har achay kaam ko time waste samajhtay hain or har buray kam ko mashghala bana laitay hain. Quran k 2 pages parhnay k liay wqt nai hota lkn dusri book ko parhnay k liay boht time hota hai. Q hmari mazjidain choti but shopping malls baray hotay jaray hain? Q hum apna role model ksi celebrity ko bana laitay hain lkn Allah say engage hona hamain mushkil lagta hai??
Bayshak is luxurious life ko chor kar Allah ki taraf rukh karna thora mushkil hai lkn namumkin hargiz b nai hai. Is ki sab say bari misaal hamain Sara Chaudhry say milti hai jo showbiz chor k seedhi rah par i or wo kehti hai k "Mera sath sirf khuda nay dia ushi nay mjhe tofeeq di". Allah tou khud kehta hai k tum meri taraf ek qadam brhao may tmhari taraf das qadam brhaun ga. Ay Allah mjhe b seechi rah par chalnay ki tofeeq ata farma or is dunya k tanoon ka dar meray dil k nikaal day.
Nyc yar gud attempt=)
ReplyDeleteameen
ReplyDeletegood one zofi