Saturday 10 March 2012

Ajeeb.o.ghareeb khwab...!!


  Khwabon k baray may hamaisha sunti hn k insan jo pura waqt sochta hai wohi us k khwab may aata hai but i want to ask you guys is that really true?? well, i don't think so because mai wo nai sochti jo mairay khwab may aata hai or jo mai sochti hn wo meray khwab me aata hi nai. Kya kehna meray khwabon ka, aisay aatay hain k tabeer k baray me jan'nay ki nobat hi nhi aati.
  Mai aksar khwab may daikhti hun k meray pas dunia jahaan ki chocolates hain lekin may wo kha nai pati or jesay hi mai unhe khanay ka moqa pati hn mjhe asli may meri mom utha daiti hain. Kbhi kbhi to mai khwab may hi koi yummy cheez apnay muh may rkhnay wali hoti hn k meri khud ankh khul jati hai or sari khushi khaak may mil jati hai.

  Mai nay kabhi bhi apni shadi k baray may nahi socha lekin usdin bara ajeeb khwab daikha k mai ek room mai kch khwateen k sath RED dupattay may baithi hui hon, samnay dastarkhwan bicha hai. Mjhe hamaisha say potatoes bohot pasand hain shayad isi liay usdin may nay khwab may AALU KI BHUJIYA daikhi. Meray samnay mera dulha baitha hua tha or jab mai nay ghoor say daikha tou wo Allama Iqbal thay :D Ya Allah ye kaisa khwab tha. Na hi sirf mai nay unhey khwab may daikha balkay wo meray samnay sochtay sochtay intiqaal bhi kar gaey. Bus ghalti yahan kardi mai nay k subha uth k ye khwab sab ko btadia tab mai shayad class 6 may hongi lekin wo din tha or aaj ka din hai abhi b mjhe meray boht say cousins ALLAMA IQBAL KI BAYWA kehtay hain.

  Pta nai mjhe aksar aisay khwab q aatay hain jin ka na sar hota hai na hi pair. Beharhaal jo bhi ho in khwabon say kch nahi hota asal khwab wo hotay hain jo aap khuli ankhon say daikhtay hain jismay mai apnay aap ko bohot unchaai par daikhti hn yani kamiyabi ki azeen tareen manzil par. Bhalay band ankhon say daikhnay walay khwab adhuray reh jaen lekin inshaAllah meray wo khwab zarur puray hongay jin may mai apna bridge futura daikhti hn :)

2 comments:

  1. hahaha...sorry main tumhare khawab parh kar hans rahi hun per zofi jo tum likhti ho na woh koi nahi likh sakta...very good

    ReplyDelete