INSAN KA MSTAKBIL INSAN K HATHON MEIN HAI NA K US KI
LAKIROON ME. INSAN HATH KI LAKIROON K CHAKER
MEIN PER KAR APNA QEEMTI WAQT SIRF ISI INTEZAAR MEIN GUZAAR DETA HAI K
ACHA WAQT AYE GA WO YE NAHI SOUCHTA K ACHA WAQT US KI MEHNAT ME HAI AGER
WO MEHNAT KARE TU ACHA WAQT US K HATH ME HAI OR WO USKO OR ACHA BANA SAKTA HAI KYU K
MEHNAT MEIN HI KAAMYABI HAI LEKIN KUCH LOG HATH KI LAKIROON K CHAKER ME PAR KAR
APNA QEEMTI WAQT OR PAISA BARBAD KARTE HAIN.HAMARE IRD GIRD AISE BOHAT SE LOG
HAIN JO LOGO KO HATH KI LAKIROON K CHAKER
ME PAGAL BANA KAR UNKA PAISA LOOT
LETE HAIN OR LOG BHI APNE ALLAH PER BHAROSA NAHI KARTE BALKE APNE HATOON KI LAKIROON
PER KARTE HEN JO HAMARE ALLAH NE HI BANAI HAIN.INSAN YEH SOUCHTA HAI K HATH KI
LAKIRON ME LIKHA HAI US KI KISMAT ZAROOR BADLE GI WO YE NAHI SOUCHTA K WO APNE
HATHON KO ISTAMAAL KAR K APNI KISMAT BADAL SAKTA HAI. INSAN KHARAB AQEEDON MEIN
PAR K BOAHAT KUCH KHO DETA HAI APNE ALLAH PER
YAQEEN KHO DETA HE WO SIRF YE SOUCHTA HAI K US KI HATHON KI LAKIRON MEIN
LIKHA HAI TU MILE GA WO YE NAHI SOUCHTA K ALLAH NE JO KUCH US KI KISMAT ME
LIKHA HAI WO US KO ZAROOR MILE GA KYU K
ALLAH K GHAR DEER HAI ANDHEER NAHI ,LEKIN
INSAN SADA KA BE-SABRA HAI US KO HER
CHEEZ KI JALDI HOTI HAI OR WO ES JALDBAZI MEIN KHARAB AQEEDON K CHAKER ME PAR JATA
HAI JO US KO DEEN O DUNIYA SE DUR
KAR DETE HAIN OR WO YE NAHI SOUCHTA K JO SHAKS FOOT PATH PER BETHA HAI WO US KO KYA ACHA MUSTAKBIL DE GA JO
APNI HALAT NAHI BADAL SAKA OR JHOT SE ROZI KAMA RAHA HAI. INSAN YEH NAHI
SOUCHTA K GAIB KA ILM SIRF ALLAH K
PASS HE OR HUM TU US KI MAKHLOK HAIN
TU HAMARE PASS KAHAN SE GAIB KA ILM A SAKTA HAI.
agreed...jaihl babaon k chakar main parr kar log buhat bewaqufyan kar jatay hain....
ReplyDelete