Wednesday 21 March 2012

Exam-Phobia


exam is the worst part of our studies.everytime exams held student suffer.the whole time period is agressive from start to end of examination.
in actual sab bura lagta hai khud sey nafrat hojati hai aur sab sey bura woh lagta hai jo sab parh chuka hota hai. Right naaa??? =p
na khaney ka hosh hota hai aur na he nend ka.aur exam ki chaand raat kuch aise feeling hoti hain jo kafi ajeeb hoti hain.
"sara syllabus kisi tarah complete hojayein"
aisaaa sirf sochtey hain karta koi nahi =D
subha exam start hony sey pehly wala time bhi kafi ajeeb hota hai examination hall pohncy sey pehly surprise milty hain kuch is tarah ki batein suney ko milti hain.
"yaar ma'am ney yeh bhi kaha tha yeh bhi paper mein aye ga yeh bhi important hain........uufffff meiny to is topic ko hath tak nahi lagaya hai"

aur paper end hony k baad atleast 1hour tak paper discuss karna kabhi afsos karna kabhi kush hona.koi kitna bhi genius ho examphobia har kisi mein hota hai chahye preparation achi ho ya phir kharab.
students he janty hain jab un pe bet rahi hoti hain ya aisey keh lein k qabar ka haal to sirf murda he janta hai.

3 comments:

  1. Looking great work dear, I really appreciated to you on this quality work. Nice post!! these tips may help me for future. Visit Fortnite gift card codes

    ReplyDelete