Monday 19 March 2012


INSAAN KI PEECHAN USKA RAWAIYYA....

Kaha jata hai kay insaan ki pehchan uskay ikhlaaq or rawaiye se hoti hai, ye kehna bhi galat nahi hoga kay insaan ki asli auqat uski zaban kay neechay hoti hai, yani uska andaaz uska lehja hi uski asli pehchan banta hai. Agar hum ghor karey tu hum deakh saktay hain kay buhot se esay log hain jinka rawaiya har dosaray shakhs kay sath itna zayada bura hota hai kay shayad koi un se baat bhi nahi karna chahay… yahan main ek waqiya batana chahogi jiska talluq meri ek dost or mere sath hai…

Kuch dino pehle ek aurat mili hamey
Hai wo humse barii isliye shayad hain thori nakchiri
Na hai unhe tameez salam ka jawab dene ki
Or na hi unhe ye pata kay apne se choto se kese karni hai baat bhala??
Apne apko pata nahi akhir kya samajhti hain
Baray baray jhoot wo bolti chali jati hain
Barii hain wo ye soocha kay chup hojatay hain hum
Kuch nahi kehtay, unkay jhoot pe chup hojatay hain hum
Ya ALLAH unhe thori si hidayat kar de
Unkay rawaiye main thori si behtari kar de

Ye thi meri choti si kahani agar is tarha kay logo ki tadaat hamarey mulk main zayada hojae tu hamari anay wali nasal kabhi kuch seekh nahi paegii. Insaan ko apna rawaiyaa esa rakhna chahiye kay har koi wesa hi bannay ka khwahish mand hoo….. 

No comments:

Post a Comment