Monday, 12 March 2012

Kya waqai hamari naye nasal badal chuki hai?


Kya waqai hamari naye nasal badal chuki hai?
Shayad is baat se meri koi mukhalfat nahi karey ga kay hamari peechli or aj ki naii nasal main zameen asmaan ka farq hai or shayad mustaqbil main anay wali nasal main is se bhi zayada farq hoga….

Ek wo waqt tha jab buhot saaf muhool howa karta tha, bachay koi galat kaam karey ye tu buhot dor ki baat hai balkay un kay zehnno main koi galat baat bhi nahi ati thi. Sab k gharo main ek routine bana howa hota tha, bacho kay sonay se le kar unki parhai ka waqt or is kay sath sath unkay khelnay ka waqt muqarrar howa karta tha. Maine apnay bachpan main shayad ye sab thora miss kia hai kyu kay jab main aksar yahan aya karti thi tu deakha karti thi kay sham kay waqt puri galii kay bachay ek jagah jama ho kar sath main kehla kartay the or such main un kay zehno main koi galat baat nahi hoti thi ek dosaray ko le kar….
Lekin  afsoos! naii nasal kay sath sath naii soochay bhi ujaghar hogai hain. Ab na hi bachon ka koi routine raha hai bulkay hamary media ne bachon kay zehnno ko buri tarha tabha-0-barbad kar kay rakh dia hai. Ye kehna galat nahi hoga kay baray logo main or bachon mai ab koi farq nahi raha hai bulkay shayad naii nasal hum sab se zayada teez ho chuki hai. Ab khel ka medaan unhe sirf  khelnay ki jagah nahi lagti or na hi khelonoo se unka koi lagao raha hai. Aj ki nasal apni umar se zayada bari ho chuki hai or un kay andar ka bacha puri tarha mar chukka hai or har koi jald se jald bara banna chahta hai.

Haan waqai hamari naye nasal badal chuki hai. 

4 comments: