HAMARE
MASHREY MEIN AAJ KAL AURTON PER TEZZAB PHEKNE K BOHAT WAQEYAT HO RAHE HAIN .JUB
BHI NEWS DEKHO YEHI NEWS A REHI HOTI HE. ES TARHA KU HO RAHA HAI KUCH SAMJH
NAHI ATA. KHAS KAR PUNJAB ME OR BHT SI JAGAHO PER BHI WAQEYAT HO RAHE HEN,.KYA
LOGO MEIN KHUF-E-KHUDA NAHI HAI YA INSANIYAT NAHI HAI YA INSANIYAT KHATAM HO
GEI HAI.WAKAI YE INSANIYAT TU NAHI HAI K ZRA SI BAAT PER TEZZAB PHENK DIYA JAYE YA MAAR
DEYA JAYE KYA INSANI JAAN ITNI SASTI HO
GEI HAI K US KI EHMIYAT
HI NAHI RAHI.
GOVT
IS BARE ME KYA KAR RAHI HAI OR HUMAN
RESOURCE TEAMS KYA KAR RAHE HAIN .KOI STEP KOI SOLUTION NAHI HAI KYA .JIS SE
YEH SUB ROKA JA SAKE .ABHI KUCH DIN PHELE HI KUCH WAQIYAT
HOWE HAIN .ES BARE MEIN AB TUK KYA HOWA
HAI AUR HAMAREI HUMAN RESOURCES TEAMS NE KYA STEP LIYA HAI. KYA AB TUK KISI KO SAZA MILI HAI? KOI MULZIM APNE KAIF-E-KIRDAR TUK
POHANCHA HAI? NAHI AB TUK ES TARHA KUCH
NAHI HOWA HAI BUS AIK NEWS BAN JATI HAI JIS SE MEDIA APNI EARNING KARTA HAI AUR
NEWS KO INTERESTING BANA K DEKHATA HAI. AURTON K HUQOOQ K BARE MEIN BOHAT BAAT
KI JATI HAI TU KYA YEH HAIN AURTON K HUQOOQ K UN KO TEZAAB SE MARA JAYE, UN PER
TEZAAB PHENKA JAYE, UN PER TARHA TARHA K ZULM KEYE JAIN OR AURAT KABHI BACHON K NAAM PER KABI APNE
GHAR WALON K NAAM PER ZULM SHETI RAHEY .KYA AURAT KI YEHI ZINDAGI HAI? HUM 21
CENTURY MEIN HAIN TU KYA 21 CENTURY YEH SEKHA RAHI HAI K AURTON PER KIS TARHA
ZULM KEYE JAIN.HUMAN RESOURCES TEAMS BHI SIRF NAAM OR PAISE K LIYE ISSUE KO
UTHATI HAIN PHIR APNA KAAM KAR K CHUP HO KAR BETH JATI HAIN OR JO MULZIM HAI
WHO GHUMTA REHTA HAI OR JO MAZLOOM HAI WO TARAP TARAP K MAR JATA HAI. CASES
CHALTE REHTE HAIN HOTA KUCH NAHI. HAMARA MEDIA TO AURTON K HUQOOQ BOHAT DEKHATA
HAI TU KYA AURTON K HUQOOQ SIRF DRAMA TUK K LIYE HAIN YA AURAT DRAME TUK HI
STRONG HAI OR POWERFUL HAI HAQIQI LIFE MEIN US K HATH MEIN KUCH NAHI
HAI KYA.
HUM
MUSALMAN HAIN OR ISLAM HAMEN YE TO NAHI SEKHATA K AURTON PER ZULM KEYE JAIN YA UN KI
ES TARHA BE-IZZATI KI JAY. KHUDARA IS
CULTURE KA KHATMA KEYA JAY OR AURTON KO IZZAT DI JAYE UN KA EHTARAM KEYA JAYE OR
UN K HUQOOQ KI PASDARI KI JAYE. ISLAM K NAAM PER HI AURTON KI IZZAT OR HUQOOD
KI PASDARI KI JAYE KU K AURAT HI AIK NASAL KO PERWAN CHARHATI HAI JO K AIK
MUSTQBIL HOTA HAI.
No comments:
Post a Comment