Sunday, 8 April 2012

Aj kal asa waqt agyaa hai dunya main yaro
Allah ko yad kartay hai bura waqt anay per ,
Dunya kay rang-o-rang main aisa khojatay hai
Namaz Quran ko bhol kar guna ko apnatay hai ,
Dunya ki azayesh jannat se bard kar lagti hai
Ye log kai janay jo dunya se bard kar hasen jaga lagti hai ,
Log aj kal nach ganay moj masti main magan rhtay hai
Afsos hai unper jo in sab harkato main magan rhtay hai ,
Koi musibat ajay to deen-o-dunya unki aziz hai
Bahali ho zindage main to un lay liy deen kai hai ,
Qayamat kay manzar ka ik lamha nai sochtay hai
Sirf dunya kay melay main khoy rhtay hai ,
Azan ki awaz sun kar un suni kartay hai
Jab koi musibat ajati hai sab se phlay namaz pardaty hai
Asi namaz ka kai faiyda jo apnay waqt per pardty hai
Khushi mayasir ho zindage main to sab say phaly namaz pardna bholtay hai ,
Koi musibat ajay to sub se phlay jan-e-maz ko chumtay hai
Warna jan-e-maz kai hai ye nai jantay hai
Namaz asi chez hai jis se insan ki deen-o-dunya badali jasakti hai
Namaz ki pabandi karay to jannat bhi paa sakti hai………..


No comments:

Post a Comment