GALAT.....BILKUL GALAT...Ye barson se ak tarika chala araha he k koi shaks apni galti ya jurm tasleem nhi krta.or agr ahsas ho b jye to dosro par dalne ki koshish krta he.wo bht azeem log hote hen jo apni galti tasleem krte hen.Yehe kuch MEDIA k sath ho raha he jis ko dekho media ko bura bhala keh raha he,new generation ki tabahi o barbadi me media ka hath batata he, bey rah rawi or behoda omoor k faroog ka ilzam media k sar he.
MEDIA kya he? MEDIA to ak be-jan kagaz he jo hamare samne news paperv or novel ki shakal me ata he .media to be-jan machino ka nam he jo hmare samne tv, radio, computer ki shakal me ati hen .kya....? In be-jan kagazon or machino me ye salahiyat he k apni marzi se kuch kar saky nhi... nhi hargiz nhi in me jan dalne waly hm khud hen .jo HUM khte hen, jo HUM krte hen,jo HUM chahte hen .ye be jan machines ya paperz wohi krte hen to kasoor war HUM hoye ya MEDIA.Maashra afrad se banta he afrad ache hongy to maashra acha hoga.afrad bury hongy to mashra bura hoga. media bazat e khud acha he na bura.media ko badnam krne me sb se bara hath un afrad ka he jo media se mutalik bunyadi policies bnaty wakt ye khayal nhi rakhty k inka asar mashrey par positive hoga ya negative .Insan k samne kitni raahen khuli hen lekin in me se konsi achi hen or konsi buri. ye choose krna insan ka fariza he or is farize ko umda or behtar tariky se anjam usi wakt diya ja sakta he jb hum khud aqal o shaoor se kam len.
Hakikat ye he k media se mutalik tamam ijadaat hairat angez inkalab lane ka sabab bani hen. ijaaad koi b ho us ka acha ya bura hona us k istemal ki noiyat per he . zrort is bat ki he k media ko masbat or mufeed banayen ta k media hamare mashrey me insan ka maawon or madad gar ban kr ubhre
Hmm... is this REALLY written by you Reda?
ReplyDeleteyes mis ye wakai mene he likha he hahhaha
ReplyDeleteThis comment has been removed by the author.
ReplyDeleteGreat and I have a keen offer: How Much Is A Complete House Renovation split level remodel
ReplyDelete