"Gharoor aur takabbur"
Matt kar itna gharoor apny aap per Aaa Insan,
Na jany Khuda ne kitny tere jese bana bana k mita diye.
Hazrat Sulemaan A.s. sey poocha gaya,
"woh konsi burayeehay jis kay hotey huay koi naiki nafa(faida) nahee dety"
Farmaya,"Takabbur"
"Muhammad Bin Hussain Bin Ali Razi Allah Ta-alah anho
farmatey hain:kay jitna takabbur insaan kay dil main daakhil ho jata hay, utni hi Aqal us sey nikal jaaty hay, Agar thora ho toh thori aur agar ziada ho toh ziada"
Allah Talah ko yeh baat buhat na-pasand hay lekinhum main sey taqreeban har aik main hi yeh bemaarikisi na kisi soorat main mojood hay.sawaaal yeh hay kay insaan kay dil main gharoor kaisey ata hay aur kub ata hay?Aur
Gharoor jaisi buri aadat sey kaisey chutkara paya jaa
sakta hay??
Merey khayal main buhat sii wajoohaat hain jo insaan
ko is burayee main mubtilaa kar dety hain:
**hamari ibaadat(Hum Allah ki ibaadat toh buhat kartey hain
aur namaz ,Roza, zakat..in sab cheezon ki bhi pabandi kartey
hain magar hamarey andar kabhi kabhi yeh khayal aa jata
hay kay hum un Musalmaano sey behtar hain jo kay namaz
nahee parhtey aur Allah ki Ibaadat nahee kartey.**
Jub hamaarey dil main doosron ki taraf sey keegayee taareef sun-nay ka shoq paida hota hay toh hamarey dil main gharoor bhi aa jaata hay kay hamaarey andar buhat see khoobiaan hain isi liye log hamaari tareef krtey hain.Kabhi kabhi dolat kay hasool kay baad aur kaamiyaabion kay hasool kay baad hamaarey andar gharoor aa jata hay.
gharz buhat sii wajoohat hain magar sab sey bari waja yeh hay kay hamain dunia ki muhabbt ko Allah Talah ki muhabbt par tarjeeh detey hain.Hum jaan boojh kar aisa nahee kar rahay hotey matlab gharoor aur takabbur kabhi kabhi insaan kay dil main apni jarrein mazboot kar leta hay aur hamain is ki khabar bhi nahee hoty.
Is liye hamain chahiye kay hum dunia ki kisi bhi cheez ko aur
khasoosan kisi bhi insaan ko haqeer na jaanein..
aur Allah Talah nay jo naimatein deen hain un kay liye sirf
Allah Talah ka shukar adaa karein aur apney andar paayee
jaanay wali khoobion kee binaa par khud ko doosron sey bartar
na samjhain kioun kay behtareen insaan woh hay jo Allah
Talah ki nazar main Acha hay aur hamain is baat kee khabar
nahee hay kay jis ko hum buhat bura samajh rahay hon
wohi Allah Talah ki nazar main buhat acha ho.
“do din ki zindagi hai, koi nahin janta moat kab aap ke dawaze per dastak de de, is liay zindagi main kabhi gharoor aur takbur nahin kerna chahiye”
Is baat par zaroor ghor keejiye ga kay kia ap ka dil gharoor sey paak hay yaa is ki islaah ki zaroorat hay agar hay toh karnay kee koshish zarooor keejiye ga.
JazakAllah.
hmm gud hai
ReplyDeletekeep it up. improvement needed. Write it in a much halka phulka manner.
ReplyDeleteNycc
ReplyDelete