Saturday, 25 February 2012

MAA KA GHAR PARAYA

Jahan hum palay bardhay hain
wo he ghar chor kar jana hai

Hum ne wahan ek ek kadam chalna sikha
ek ek niwala maa kay hath se khana sikha

Har mushkil waqt main wo sath daiti hai
jab bhi dar jatay tu wo yun thaam laiti hai

Har ek ek lafz unse bolna sikha
or unki ungli thaam kar chalna sikha

Jab bhi gir jatay tu maa apne hath se sambhalti hai
or phir wohi maa apne hath se dor karti hai

Hum ko badalti hai wo har ek pal
kay ek din ye ghar chor kar jana hai

Wo apnay dil ki thandak ko kaisey dor karey?
jisko bachpan se pala apni ankhon se kaisey dor karey??

Beti tu beti hai ek din apnay ghar jana hai
ye tu dunya kay riwaj hain isko nibhana hai

Jahan apna bachpan guzara hai
wohi ghar ek din chor kar jana hai

Maa ne rukhsat kia beti ko ALLAH kay hukom par
ALLAH ne sabar dia maa ko apnay hukom par

2 comments: