Monday, 27 February 2012


DAY OF PRESENTATION


Esa kyu hota hai bar bar?? Kya isko hi kehty hain presentation har bar?
Kya ap esa nahi soochtay?
Kabhi na kabhi har insaan apni education life main ye zaroor soochta hai kyu kay presentation ka experience kabhi buhot acha hota hai tu kabhi buhot hi bura. Mujhe yad hai esa wo har din jab jab ye presentation jaan par azaab bani hai. Wo surprises, wo confusion, wo discussion, wo tension, wo compromise, or in sab k bad phir wo din presentation ka, or phir wohi nervousness or wohi khoof apne un asatza ka jo hamary sath or hum un k sath hamesha tu buhot frank rehtay hain lekin sirf us ek din wohi hamaray dushman lag rahe hoty hain.
Akhir esa kyu hota hai? Hum chahe jitny hi confident kyu na ho lekin sab kay samny jatay hi hath pair kapkapana shuru hojatay hain or audience hamari presentation se zayada hamari physical appearance par focus rakhti hai. Shayad yehi dunya ka dastoor hai or agar deakha jae tu nervous honey main koi burai nahi hai or na hi iski wajah se afsoorda hona chahye kyu k sab kay sab ek hi kashti kay sawar hain jesa ap kay sath hota hai wese sab kay sath bhi hota hai. So relax J........ 

9 comments:

  1. kch ho na ho przntation se phlay madhu k pait me gudgudi zrur hoti hai :p

    ReplyDelete
  2. nai nai xofiiii.......hi this is madiha rafiq.or bhol gae..:-p

    ReplyDelete
    Replies
    1. hahahahaha
      nahi amri madhu'x expressionx
      "mein kaun hoon yeh mein kaha agae hoon yeh sab kya horaha hai"

      Delete
  3. hahahahha........or pher hath ka kapkapana.:-p

    ReplyDelete