Revolution jisay urdu may "INQILAAB" kaha jata hai, ek aisa hathiyaar hai jo apnay andar bohot taqat rakhta hai. Or kabhi kabhi is hathiyaar ko istamaal karna awaam k liay bohot zaruri hojata hai kyun kay kahin na kahin ye har insan ki zindagi se jura hua hota hai. Inqilab aata hai logon ki soch say or Inqilab lanay walay b aam insan hotay hain meri or aap ki tarha. Dunia may is ki beshumaar misalain mojud hain.
Hum nay baarha suna "is mulq mai inqalab aya", "us mulk mai inqalab aya" lekin khun nahi hum kabhi ye sochtay k hamaray mulk may kab Inqalab aay ga?? INQILAB ZINDABAD kay naray lagatay zaror dikhtay hain lekin sochtay nahi kay Inqilab laey ga kon??
Kisi b mulk ki awam jab had say zyada zulm sehnay ki himmat nahi rakhti tou wahan ek soch paida hoti hai usay kehtay hain INQALAB! bahtareen misaal Misr ki mojood hai. Akhir wahan kay aam log hi tou Inqilab laEy jin kay andar ek jazba tha, mukammal badlao ki soch thi. Wo zulmat ki zanjeeron se azaad bhi huay jo apnay ghar ki, apni jan ki, apnay maal ki parwa kiay baghair apnay gharon say apnay maqsad ki sarbulandi k liay nikal paray or beshak kamyabi un kay qadam choomti nazar aati hai.
Kyun nahi hum bhi aisa jazba paida kartay kay hamain bhi Inqalaab lana hai? jab kay hamain tou charon taraf say zulmat nay gher rakha hai.Ghurbat, bayrozgari, jaraim ye sab zulm hi tou hai hmaray upar... Hum ghalat kaam hotay daikhain gay lekin samnay walay ko us say rokain gay nahi..Hum hmaray hi mulk may dar dar kar gee rahay hain. Hum ek dosray kay hathon maray jaray hain. Boriyon may lashain daikh kar afsos ka izhaar tou kartay hain lekin inqalaab ki khwahish nahi krtay.
"AB ALLAH HI MALIK HAI IS MULK HA" kehnay say kisi mulk ki taqdeer nahi badli. Kyun kay Allah bhi kisi qoom ki halat us wqt tk nahi badalta jab tak wo khud us k liay koshaan na ho. Ab waqt hai Inqalaab ka jo waqai hmari muh boli "ISLAMI MUMLIKAT" ko haqiqatan sahi rastay pay chala sakta hai.
Baat to sach hai...!
ReplyDeleteKeep it up Zofishan !
ReplyDeletethanks :)
ReplyDeletevery good .... :)
ReplyDelete:)
ReplyDelete